Posts

Showing posts from November, 2014

Royal Ghazal By Basheer Badra (Gaon Mit jaye ga ,Shehar jal jaye ga)

Image
गाँव मिट जायेगा शहर जल जायेगा ज़िन्दगी तेरा चेहरा बदल जायेगा,.,.!! कुछ लिखो मर्सिया मसनवी या ग़ज़ल कोई काग़ज़ हो पानी में गल जायेगा,.,.!! अब उसी दिन लिखूँगा दुखों की ग़ज़ल जब मेरा हाथ लोहे में ढल जायेगा,.,.!! मैं अगर मुस्कुरा कर उन्हें देख लूँ क़ातिलों का इरादा बदल जायेगा,.,.!! आज सूरज का रुख़ है हमारी तरफ़ ये बदन मोम का है पिघल जायेगा,.,.!! ****************************************** Gaon mit jaye ga shehar jal jaaye ga Jindagi tera chehara badal jaye ga Kuchh likho marsiya, masanavi ya ghajal Koi kaagaj ho pani me gal jaye ga Ab usi din likhun ga dukhon ki ghajal Jab mera hath lohe me dhal jaye ga Mai agar muskura kar unhe dekh lun Kaatilon ka irada badal jaaye ga Aaj sooraj ka rukh hai hamari taraf Ye badan mom ka hai pighal jaye ga

Bahut Pani Barasta hai to mitti baith jati hai- Munnawar Rana Ghazal

बहुत पानी बरसता है तो मिट्टी बैठ जाती है न रोया कर बहुत रोने से छाती बैठ जाती है,.,.!!! यही मौसम था जब नंगे बदन छत पर टहलते थे यही मौसम है अब सीने में सर्दी बैठ जाती है,.,.!!! चलो माना कि शहनाई मोहब्बत की निशानी है मगर वो शख़्स जिसकी आ के बेटी बैठ जाती है,.,.!!! बढ़े बूढ़े कुएँ में नेकियाँ क्यों फेंक आते हैं ? कुएँ में छुप के क्यों आख़िर ये नेकी बैठ जाती है ? नक़ाब उलटे हुए गुलशन से वो जब भी गुज़रता है समझ के फूल उसके लब पे तितली बैठ जाती है,.,.!!! सियासत नफ़रतों का ज़ख्म भरने ही नहीं देती जहाँ भरने पे आता है तो मक्खी बैठ जाती है,.,.!!! वो दुश्मन ही सही आवाज़ दे उसको मोहब्बत से सलीक़े से बिठा कर देख हड्डी बैठ जाती है,.,.!!! ****************************************************** Bahut paani barsata hai to mitti baith jati hai Na roya kar , bahut rone se chhati baith jati hai Yahi mausham tha jab nange badan chhat par tahalate the Yahi mausham hai ab seene me sardi baith jati hai Chalo mana ki shehanai mohabbat ki nishani hai Magar wo shaksh jiski aakar beti baith jati hai Bad...

Best Urdu Sher of Munnawar Rana in Hindi Font

हुकूमत मुंह भराई के हुनर से खूब वाक़िफ़ है ,., ये हर कुत्ते के आगे शाही टुकड़े दाल देती है ,.,!! Hukoomat munh bharaai ke hunar se khoob vaakaif hai ye har kutte ke aage shahi tukada dal deti hai ------------------------------------------------------------------ मियाँ मैं शेर हूँ ,शेरों की गुर्राहट नहीं जाती ,., मैं लहजा नर्म भी कर लूँ तो झुंझलाहट नहीं जाती ,., मैं एक दिन बेख्याली में कहीं सच बोल बैठा था ,., मैं कोशिश कर चुका हूँ ,मुंह की कड़वाहट नहीं जाती ,.,!!! Miyan main sher hoon sheron ki gurrahat nahin jaati main lahaja narm bhi kar loon to jhunjhalahat nahin jaati  main ek din bekhyali men kahin sach bol baitha tha main koshish kar chuka hoon, munh ki kadavahat nahin jaati ------------------------------------------------------------------ मैंने फल देख के इंसानो को पहचाना है ,., जो बहुत मीठे हैं अंदर से सड़े होते हैं ,.,!!! Mainne fal dekh ke insan ko pahachaana hai jo bahut meethe hon andar se sade hote hain ------------------------------------------------------------------ लबों...

Best Kavita- Tum Lakh chahe meri aafat me jaan rakhna- Dr. Kumar Vishwas

Image
तुम लाख चाहे मेरी आफ़त में जान रखना पर अपने वास्ते भी कुछ इम्तहान रखना वो शख़्स काम का है, दो ऐब भी हैं उसमें इक सर उठाना दूजा मुँह में ज़बान रखना बदली सी एक लड़की से कुल शहर ख़फ़ा है वो चाहती है पलकों पर आसमान रखना केवल फ़क़ीरों को है ये कामयाबी हासिल मस्ती में जीना और खुश सारा जहान रखना. *********************************************** "Tum Laakh Chahe Meri Aafat Mein Jaan Rakhna Par Apne Waaste Bhi Kuchh Imthaan Rakhna Wo Shakhs Kaam Ka Hai, Do Aib Bhi Hain Usmein Ik Sar Uthaana Duja Moonh Mein Zabaan Rakhna Badli Si Ek Ladki Se Kul Shahar Khafa Hai Wo Chahati Hai Palkon Par Aasmaan Rakhna Kewal Faqeeron Ko Hai Ye Kaamyaabi Haasil Masti Mein Jeena Aur Khush Sara Jahaan Rakhnaa.

Best Ghazal- Pas rah kar juda si lagti hai- Basheer Badra

पास रहकर, जुदा सी लगती  है , जिंदगी बे, वफा सी लगती है.,.!!! मै तुम्हारे, बगैर भी जी लूँ , ये दुआ बद दुआ, सी लगती है ,.,!!! नाम उसका, लिखा है आँखों में, आसुओं की, ख़ता, सी लगती है,.,!!! वो भी इश, तरफ से गुज़रा है , ये ज़मी आसमां, सी लगती है ,.,!!! प्यार करना, भी जुर्म है शायद , आज दुनिया, खफ़ा, सी लगती है ,.,!!! पास रहकर, जुदा, सी  लगती है , जिंदगी बे, वफा सी लगती है .,.,!!! ********************************************* Paas rah kar juda si lagti hai Jindagi bewafa si lagti hai Mai tumhare bagair bhi jee lun Ye dua , bad dua si lagti hai Naam uska likha hai aankhon me Aansuon ki khata si lagti hai Wo bhi is taraf se gujra hai Ye jameen aasman si lagti hai Pyar karna bhi jurm hai sayad Aaj duniya khafa si lagti hai Paas rah kar juda si lagti hai Jindagi bewafa si lagti hai

Madhushala Ki Chuninda panktiyan- Harivansh Rai Bachhan

Image
Read More about bachhan sahab- http://en.wikipedia.org/wiki/Harivansh_Rai_Bachchan Madhushala (The house of wine) bachhan ji ki sarvadhiak prashiddh aur uttam rachnao me se ek hai To aanand lijiye Madhushala ki kuch chuninda panktiyo ka मृदु भावों के अंगूरों की आज बना लाया हाला, प्रियतम, अपने ही हाथों से आज पिलाऊँगा प्याला, पहले भोग लगा लूँ तेरा फिर प्रसाद जग पाएगा, सबसे पहले तेरा स्वागत करती मेरी मधुशाला,.,!!! मदिरालय जाने को घर से चलता है पीनेवला, 'किस पथ से जाऊँ?' असमंजस में है वह भोलाभाला, अलग-अलग पथ बतलाते सब पर मैं यह बतलाता हूँ राह पकड़ तू एक चला चल, पा जाएगा मधुशाला,.,!!! हाथों में आने से पहले नाज़ दिखाएगा प्याला, अधरों पर आने से पहले अदा दिखाएगी हाला, बहुतेरे इनकार करेगा साकी आने से पहले, पथिक, न घबरा जाना, पहले मान करेगी मधुशाला,.,!!! एक बरस में, एक बार ही जगती होली की ज्वाला, एक बार ही लगती बाज़ी, जलती दीपों की माला, दुनियावालों, किन्तु, किसी दिन आ मदिरालय में देखो, दिन को होली, रात दिवाली, रोज़ मनाती मधुशाला,.,!!! मुसलमान औ' हिन्दू है दो, एक, मगर, उनका प्याल...

Mom ke pas kabhi aag ko lakar dekhu - Rahat Indauri Ghazal

मोम के पास कभी आग को लाकर देखूँ सोचता हूँ के तुझे हाथ लगा कर देखूँ कभी चुपके से चला आऊँ तेरी खिलवत में और तुझे तेरी निगाहों से बचा कर देखूँ मैने देखा है ज़माने को शराबें पी कर दम निकल जाये अगर होश में आकर देखूँ दिल का मंदिर बड़ा वीरान नज़र आता है सोचता हूँ तेरी तस्वीर लगा कर देखूँ तेरे बारे में सुना ये है के तू सूरज है मैं ज़रा देर तेरे साये में आ कर देखूँ याद आता है के पहले भी कई बार यूं ही मैने सोचा था के मैं तुझको भुला कर देखूँ,.,!!! ************************************************* Mom ke paas kabhi aag ko lakar dekhun Sochta hun ke tujhe haath laga kar dekhu Kabhi chupke se chala aaun teri khilwat me Aur tujhe teri nigahon se bacha kar dekhun Maine dekha hai jamane ko sharaben peekar Dam nikal jaaye agar hosh me aakar dekhun Dil ka mandir bada veeran najar aata hai Sochta hun teri tasveer laga kar dekhun Tere bare me suna ye hai ke tu sooraj hai Mai jara der tere saaye me aa kar dekhun Yaad aata hai ke pahle bhi kai bar yu hi Maine socha tha ke main tujhko bhula kar dekhun

Bahut Khoobsurat ho tum- Tahir Faraz Ghazal

Image
Tahir Faraz Ghazal - Bahut Khoobsurat ho tum Bahut Khubsurat Ho Tum Bahut Khubsurat Ho Tum. Kabhi Main Jo Keh Doo Mohabbat Hai Tum Se Meri Mahobbat Ko Galat Na Samazana Ke Khuda Ki Kasam Se Murat Ho Tum Bahut Khubsurat Ho Tum. Hai Phoolon Si Naazuk Muskaan Tumhari Hai Khamosh Jadoo Jubaan Tumhari Har Jakham Ko Tumhare Apne Seene Se Lagaa Lun Shabnami Tabbssum Se Tere Hotho Ko Sajaa Loo Nazar Se Zamane Ki Khud Ko Bachaana Kissi Aur Se Dekho Jaanu Dil Na Lagaana Ke Mere Kurbat Ho Tum Bahut Khubsurat Ho Tum. Yaado Par Meri Hai Pehra Tumara Rubru Hai Hardam Ye Chehra Tumara Gulaabo Sa Nazuk Mehekta Badan Hai Yeh Lab Hai Tumhare Ya Khilta Chaman Hai. Lehraaye Aanchl To Sharmaaye Badal Yeh Zahid Bhi Dekhe To Ho Jaye Pagal Oh Pakiza Murat Ho Tum Bahut Khubsurat Ho Tum. Bikheron Teri Zulfein To Sharmaye Raateein Khwaabo Ki Saugaate Hai Teri Mulakaatein Dil Pe Tune Jaane Kya Jaadu Kiya Dhadkano Ko Tune Bekaabu Kiya Hai Ki Meri Jarurat Ho Tum Bahut Khubsurat Ho Tum.

Mehfil- Royal (Nawabi) Urdu Sher, Shayri Collection Part-2

Mehfil- Royal (Nawabi) Urdu Sher, Shayri Collection  Part-1 सवाल आप हैं गर तो जवाब हम भी हैं ,.,. हैं आप ईंट तो पत्थर जनाब हम भी हैं,.,!!! Sawal aap hai gar to jawab ham bhi hain Hai aap eent to patthar janab ham bhi hain --------------------------------------------------------------------- सुना है की समन्दर को बहुत गुमान आया है,,. उधर ही ले चलो कश्ती जिधर तूफ़ान आया है.,.!!! Suna hai ke samandar ko bahut guman aaya hai Udhar hi le chalo kashti jidhar toofan aaya hai --------------------------------------------------------------------- जब दुशमन पत्थर मारे तो उसका जवाब फूल से दो.. पर वो फूल उसकी कबर पर होना चाहिये ..!!! Jab dushman patthar mare to uska jawab fool se do Par wo fool uski kabra par hona chahiye --------------------------------------------------------------------- तेरी वफ़ा की खातिर जलील किया तेरे शहर के लोगो ने ।। एक तेरी फिकर न होती तो जला देते तेरे शहर को ।। Teri wafa ki khatir jaleel kiya tere shehar ke logon ne Ek teri fikar na hoti to jala dete tere shehar ko -----...

Mehfil- 2 Liners, Urdu Sher, Shayri, Kavita, Ghazal in Hindi Font Part-11

ख़ाक से बढ़कर कोई दौलत नहीं होती छोटी मोटी बात पे हिज़रत नहीं होती,., पहले दीप जलें तो चर्चे होते थे और अब शहर जलें तो हैरत नहीं होती,.,!! Khak se badh kar koi daulat nahi hoti, chhoti moti bat pe hijrat nahi hoti Pahle deep jalen to charche hote the aur ab shehar jalen to hairat nahi hoti -------------------------------------------------------------------------------------- सच की हालत किसी तवायफ सी है, तलबगार बहुत हैं तरफदार कोई नही.,.,!! Sach ki halat kisi tawayaf si hai Talabgar bahut hain tarafdar koi nahi -------------------------------------------------------------------------------------- इलाज ए इश्क पुछा जो मैने हकीम से धीरे से सर्द लहजे मे वो बोला जहर पिया करो सुबह दोपहर शाम,.,!!! Ilaaj-e-ishq poochha jo maine hakeem se Dheere se sard lahje me wo bola Jahar piya karo subah dophar sham -------------------------------------------------------------------------------------- दुनिया में सब चीज़ मिल जाती है,,, केवल अपनी ग़लती नहीं मिलती...!! Duniya me sab cheej mil jati hai Keval apni g...

Rui ka gadda bech kar, Maine ek dari khareed li (रुई का गद्दा बेच कर मैंने, इक दरी खरीद ली)

रुई का गद्दा बेच कर मैंने, इक दरी खरीद ली, ख्वाहिशों को कुछ कम किया मैंने, और ख़ुशी खरीद ली !! सबने ख़रीदा सोना मैने इक सुई खरीद ली, सपनो को बुनने जितनी डोरी ख़रीद ली !! मेरी एक खवाहिश मुझसे ,मेरे दोस्त ने खरीद ली, फिर उसकी हंसी से मैंने, अपनी कुछ और ख़ुशी खरीद ली !! इस ज़माने से सौदा कर, एक ज़िन्दगी खरीद ली, दिनों को बेचा और, शामें खरीद ली !! शौक-ए-ज़िन्दगी कमतर से और कुछ कम किये, फ़िर सस्ते में ही "सुकून-ए-ज़िंदगी" खरीद ली,.,!!! ************************************************* Rui ka gaddda bech kar maine , ek dari khreed li Khwaishon ko kuchh kam kiya maine aur khushi khareed li Sabne khreeda sona maine ek sui khareed li Sapno ko bunne jitni dori khareed li Meri ek khwaish mujhse , mere dost ne khareed li Fir uski hansi se maine, apni kuchh ur khushi khareed li Is jamane se sauda kar , ek jindagi khareed li Dino ko becha aur shame khareed li Shauk-e-jindagi kamtar se aur kuchh kam kiye Fir saste me hi sukoon-e-jindagi khareed li